TECH RAHUL

6/recent/ticker-posts

Advertisement

Alight Motion Video Editing | Trending Status Editing | Alight Motion Video Editing 2022

So hlw Friends welcome to my new blog. Aaj ki is blog mein ham aapko bataenge ki ek new style ka video editing kaise kiya jata hain. New style matlab normaly humlog hamesa photo se video create karte hain lekin guys photos ke sath sath humlog trending shorts video bhi add karenge.

To guys shorts video add karke video banane se video or bhi jada creative lagega. To aaplogoko preview dekhna hain to wo bhi aap dekh sakte hain. Uske liye aapko humara youtube channel STATUS ZONE OFFICIAL pe jana hain or aapko yahi same topic pe ek video dekhne liye mil jayega us video ka first 30sec aapko dekh lena hain.

Preview dekhne ke baad agar aapko preview pasand ata hain or aapko bhi same aisa video banana hain to aap step by step follow kijiye uske baad aap bhi aisa video editing kar payenge.

To chaliye guys aj ki video editing karne ke liye kya kya chizon ka jarurat padega and kaise kaise status video editing karna hain main aaoko step by step bataunga to aap hamare sath bane rahiye.


FOLLOW THE STEPS BELOW TO THE CREATE ABOVE VIDEO 👇👇

Alight Motion apk Download :- 

Guys Aisa video editing karne ke liye aapko application ka jarurat padega jiska naam hai alightmotion. Is tarah ka trending status video editing karne ke liye application best application hai jo abhi kafi jyada trending per chal raha hai Hai. To agar yah application aapke pass nahin hai to aap koi se pahle download karna padega. Kaise aapko download karna hai main aapko step by step samjhata hoon.

Guys application aapko hamara telegram channel per mil jata hai vahan se aap bahut easily application ko download karke apna phone per install kar sakte hain. Hamara telegram channel ka naam hai STATUS ZONE OFFICIAL to aap telegram par jakar is naam ko search kijiye aapko hamara telegram channel jayega. Ya fir aap niche diya gaya link ko use karke bhi hamara telegram channel join kar sakte hain.
Telegram channel join karne ke bad aap telegram channel open kariye to aapke samne hamara video ka material aa jaega aur aapko upar oin kiya hua application dekhne ke liye mil jaega vahan per click karte hi aapke samne application a jaega aur one click per aap download kar sakte hain.


Guys aapke samne telegram application nahin hai Ya fir aapko hamara telegram channel dhundhne mein ya fir join karne mein koi dikkat ho raha hai to aap hamara yah website se bhi alightmotion application ko download kar sakte hain. Website se download kaise kiya jata hai chahie ham aapko batate hain.

Website se download karna aur bhi aasan hai. Yahan se download karne ke liye simply aapko niche ek download button dikh raha hoga use per aapko click kar dena hai. Click karte hi aapko next page par redirect kar diya jaega vahan per aapko aur ek download button milega use per click karte hi aapka application download ho jaega.

Guys aap application hamara website ya fir telegram se download karte hain to aap is totally free use kar sakte hain otherwise aap kahin aur se download karte hain jaise ki play store, app store ya kahin aur se to aapko iske liye charge pay karna padta hai. Iska fees hain monthly Rs.60 and yearly Rs.360 rupees.


Agar aapne alightmotion application hain to ab aap steps follow kijiye.

Step - 1

Is tarah ka status video create karne ke liye aapko kuchh chijon ka jarurat hota hai jaise ki beat mark project shake effect presets and video mein use kiya gaya material. Chaliye jaan lete hain yah sab aap ko kaise aur kahan milega.

Tu gai sabse pahle hamen chahie beat mark project. Ye project import karne ke ka button aaoko niche dikh raha hoga uspe aapko tao karna hain to aaoka editing application open hoga or import karne bolega to aao one click main import kar sakte hain.

Import kar lene ke bad aap is project ko open karenge to aap ke samne song dekhne ke liye mil jaega jo song per aaj ham log video banane wale hain. Aur aap ko yahi song per kuchh mark dekhne ke liye milega jis per aapko photos add karna hai.

Step - 2

Ab aapko aapna video main shake effect lagane ke liye ek effect wala project jiska naam hai shake effect preset isko aapko apna editing application per import ya fir add karna padega.

To guys jaise aapane first project ko add kiya se usi tarike se aapko second project ko bhi add karna hai. Ya project ko bhi must aapko import karna hai because yah project aapko apna video mein effect lagane mein help karega. To aap yah project ko bhi add kar lijiye apna editing application ke andar.

Yah project add ho jaane ke bad aap is project ko open karte hain to aapko yahan per do photo dekhne ke liye mil jata hai aur donon photo mein alag alag effect laga hua rahega yah bhi aapko dekhne ke liye mil jata hai. Yahi do effect aapko apna video mein use karna hai.

Aap ko effect use karne ka process agar nahin pata hai to aap hamara channel visit karke is process ko bahut easily 2 minut ke andar sikh sakte hain.

Step - 3

Friends ab aapko aur ek kam karna hai aapane preview mein jo video the dekha tha usme jo jo chiz use hua tha wosab aapko download karna hain. Matlab video main use kiya gaya all material aapko download karna hain. Kaise karna hain chaliye jan lete hain.

Video mein use kiya gaya material aapko hamara telegram channel per mil jata hai to aap telegram channel agar join karke rakhte hain to aapko vahan per har video ka all material mil jata hai.

Aap hamara yah website se bhi video mein use kiya kya material download kar sakte hain. Uske liye aapko niche all material download ka button pata karna hai aur aapke samne video mein use kiya gaya all material available ho jayega. Ek ek karke aap material ko download kar lijiye sara material aapko video mein kam aane wala hai.

Step - 4

Yeah step mein aap sikhane wale hain video editing kaise kiya jata hai. To sabse pahle aapko shots video ko add kar lena hain uske baad aapane jo first project import kiya tha use project ko open kijiye aur vahan jo mark kiya vah aapko dekhne ke liye mil raha hai use hisab se aap photos ko add kar lijiye. Photos at karne ke bad aapko is photo mein effect add karna hai.

Effect add karne ke liye aapko s project open karna hai aur jahan se effect copy karke apna video mein jakar effect ko paste karna hai.

Itna kam kar lene ke bad aapko simply ek template add kar dena hai apna video main to aapka video successfully ban ke ready ho jaega. Ab is video ko aap kahin per bhi upload karke earning kar sakte hain.


Guys status editing related kisi bhi tarah ka problem hota hain to aao hame instagram pe bata sakte hain aapka help jarur kiya jayega.



Post a Comment

0 Comments