TECH RAHUL

6/recent/ticker-posts

Advertisement

Chupke Se Aa Bhi Jao Ek Din Meri Baahon mein Video Editing Alight Motion | Alight Motion Editing

Chupke Se Aa Bhi Jao Ek Din Meri Baahon Mein Video Editing Alight Motion | Alight Motion Editing



So hello friends welcome to my new blog to kaise hain aaplog umeed karte hai aaplog bhot badhiya honge. To aaj is video mein main aap logon ko glow lyrics and shake effect editing dikhane wala hun. Is tarah ka glow lyrics status abhi bahut sara training per chal raha hai so ham log bhi age again lyrics status video create karne Wale Hain. Glow lyrics ke sath shake effect bhi hoga isliye aj ka video or jada attractive hone wala hain. Chupke se aa bhi jao ek din meri bahon mein yah song par aaj ham log status video create karne wale hain song thoda purana hai hai lekin jo beat mark shake effect jo hai sab new hai to video bahut jyada achcha banne wala hai to aap log sath mein banai rahiye. Aur aaj ham log jo sake effect video mein lagane wale hain vah bhi thoda alag hai is tarah ka Shake effect aap bahut kam dekhte hain. Per Aaj ham log jo video create karne wale hain uska preview bhi aap dekh sakte hain hamara youtube channel per jakar. Hamara youtube channel ka naam hai status zone official is channel per ja ke aap same thumbnail per click karenge to aapko tutorial video dekhne ke liye milega aur usi tutorial video kar 30 sec second jo hai vah preview video hai to aap jakar ek bar jarur dekhen.


Niche Diya Gya Step Follow Kijiye 👇👇


STEP - 1


To friends is tarah ka status video create karne ke liye aap ko sabse pahle ek application ka jarurat padega jiska naam hai alight motion. Aaj ham log yah application ke madad se hi editing karne wale hain to sabse pahle aapko yah application ko apna phone mein install karna padega. Agar aap hamara Youtube channel follow karte hain to aap ka phone per pahle se yah application hona chahie agar nahin hai to koi dikkat nahin hai aap Install kar sakte hain. Alight motion application download karne ke liye aapko hamara telegram channel join karna padega vahan per aapko pin kiya hua alight motion application dekhne ke liye milega. Vahan se aapko alight motion mod application download kar lena hai. Alight motion mod APK download karte hain tabhi aap acche se editing kar payenge otherwise agar aap play store se download karte hain to aapko bahut sara option locked milega. To aap hamara diya gaya alight motion mod APK hi download karein. Niche diya gya red colour ka button pe click karke bhi download kar sakte hain to aapko jaha se sahi lage aap download kar sakte hain.


STEP - 2


Ab aapko batayenge is tarah ka editing karne ke liye kuchh chijen aapko pahle download ya fir import karna padta hai to vah sab aap kaise import karenge aur aap ko kya kya import karna hai aur uske bad aap ko use kaise karna hai sab chiz aapko bataunga. To Chaliye sabse pahle aap ko batate Hain kya kya aapko add ya FIR import karna hai to sabse pahle aapko beat mark and shake effect project aapko import karna hain.Or uske baad aapko material download karna hai to is step pe aapko batayenge beat mark and shake effect project aap kaise import karenge fir uske baad next step pe bataunga material download kaise karenge.To chaliye batatein hain beat mark project aap kaise import kar payenge.To pehle aapko niche diya gya beat mark project download pe click karna hain fir uske baad thoda der wait karna hai jaise 2 - 3 sec uske baad aaoke samne import ka button aa jayega uspe click karke aapko import kar lena hain beat mark project ko.Import karne ke baad aapko open karna hain to aapko song dekhne ke liye milega jis song pe aj hamlog video editing karne wale hain.Or aapko kuch beat mark dekhne ke liye mielga jiske hisab se aapko photos add kar lena hai.


Apne beat mark project import kar liya hai to ab aapko aur ek project import karna hai. Is project ka naam hai shake effect project. Jaise aapane use project ko import kiya sim isi tarike se aapko is project ko bhi import kar lena hai. Is project ke Bina aap apna video mein jo shake effect hai hai vah nahin laga payenge. To must aapko is project ko apna alight motion application ke andar add ya fir import kar lena hai. Import karne ke liye aapko same niche diya gaya button per click karna hai uske bad aap ka mobile browser open ho jaega aur turant aapko import ka button dikhega use per click karke aap bahut aasani se is project ko bhi import kar payenge apna alight motion application ke andar. Agar aapane import kar liya hai to aap usko open karte he ek photo dekhne ke liye milega aur use photo mein jo effect aapko dikh raha hai yahi ek effect bas aapko apna video mein use kar dena to aapka video bankar ready ho jaega. Effect use karna bahut hi aasan hai aap ko effect ko copy karke apna video mein bas paste kar dena hai to aapka video mein effect lag jaega aur aapka video dekhne mein bahut hi jyada achcha lagega.

STEP - 3


Ab aapko batayenge ki aap kaise photos download karenge fir lyrics video aapko kaise lagana hai to yah sabhi main aapko bataunga aap bus hamare sath bane rahiye. To aapka hamara all material download karna hai kaise karna hai kahan se karna hai main aapko bataunga.To sabse pahle aapko batana chahte hain aap hamara all material do tarike se download kar sakte hain pahla hai hamara telegram channel jahan per aapko video upload hone ka 1 se 2 minute ke andar all material available mil jata hai. Aapko yahan per koi bhi video ka material mil jaega chahe vah kabhi bhi upload hua ho. To aap jarur hamara telegram channel join karke rakhen kyunki vahan per sirf material hi nahin aapko daily ka update bhi mil jata hai. Telegram channel join karne ke liye aapko niche Diya Gaya button per click karna hai aur aapka telegram application automatically open ho jaega aur aapke samne join button a jayega use per click karke aap bahut aasani se hamara telegram channel join kar sakte hain.Ya fir aap telegram pe jake search kar skate hain status zone official jo aapko 3k wala channel dikhega uspe aapko join kar lena hain.


Aap hamara material website se bhi download kar payenge uske liye aaoko all material download pe click karna hai or aapke samne ek lyrics video and ek zip file dekhne ke liye milega.Lyrics video ko aap download kar lijiye and jo zip file hain usko download karke open bhi kar lijiye uske andar aapko all photos mil jayega.


STEP - 4


Ab aapko bataenge aapko video editing kaise karna hain.To sabse pehle aaoko beat mark project open karna hain or aaoko lyrics video add kar lena hain fir 1st beat mark tak rakh ke uske baad all photos add kar lena hain.Uske baad us photos main effect lagana hain uske liye back karke shake effect project main jake effect copy karke apna video main ake paste kar dena hai.Aapko samajhne main koi dikkat ho raha ho to aap hamara tutorial video dekh sakte hain hamara youtube channel pe jake.Dekh ke effect paste kar lenge to aapka video banke ready ho jayega.

Aapko samajhne main koi dikkat hua ho to aap hame instagram pe bata sakte hai aapka help jarur kiya jayega.




Post a Comment

0 Comments